Nagarjun: People’s Poet
Baidyanath Mishra was born on 30th June,1911 at Mithila in Satlakha, his mother’s village. His native village, Tarauni, is not far away from Satlakha. He was brought up in his native village.
His first poem was published in Maithili in 1930 under the pen-name ‘Yatri’. His association with Rahul Sankrtyayana led him to travels to Sri Lanka and conversion to Buddhism. He became a communist at the same time and started writing in Hindi under the name ‘Nagarjun’. In fact, he was called Baba Nagarjun. From 1934 to 1941, Nagarjuna toured various parts of India and even went abroad. He was very active in journalism too during this period. Meanwhile, his first poem in Hindi was published in 1935 and he started writing under the name Nagarjun.
Though always a well-known and popular poet, initially he was ignored by the conservative literary and critical establishment — till the great cultural upsurge in the Hindi-speaking areas in late 1960’s and early 1970’s turned writers like Nagarjun, Muktibodh, Shamsher Bahadur Singh and others into cult figures. His works include Baba Batesarnath, Balchanma, Ratinath ki Chachi, Patrahin Nagna Gachh, Khichri Viplav Dekha Hamne, translations of Jayadeva’s Gita Govinda, works of Kalidasa and many other classical works of Sanskrit literature.
JI HAAN!
Ji haan , likh raha hun…bahut kuch! bahot bahot !!
Dher dher sa likh raha hun ! magar , aap usey padh nahi paoge…dekh nahi sakoge , usey aap !
Darasal baat ye hai ki ein dino likhawat
Aap bhi main kahan padh pata hun niyon – rod pe ubahrti panktiyon kii
tarah vo agle hii chann gum ho jati hain
chetna ki keyboard par vo bas do-chaar seconds tak hi tikti hain…
Kabhi –kabahr apni is likhawat ko kagaz pe note kar pata hun
Spandandansheel samvedan kii chann-bhangur ladiyaan
Sahejkar unhe aur tak pahunchana !
Baap re, kitna mushkil hai !
Aap to four figure maasik vetan wale adhikarii tahre,
Man-hi-man hasoge hi ki bhla yeh koi kaam hua ki anaap snap khayalon kii
Mahiin laffazi hi karta hi chale koi, yeh bhi koi kaam hua !!
YEH TUM THI
Kar gayii chaak timir ka sinaa
Jot ki faank
Yeh tum thi
Sikud gayi rag-rag
Jhulas gaya ang-ang
Banakar chod gaya chod gaya patjhar
Ulun asgun-sa khada raha kachnaar
Achanak umgi daalon ki sandhi mei
Chahrhari tahnii,por por me gase they tusey
Yeh tum thii
Jhuka raha daalen failakar
Kagar par khada khodi gullar
Upar utth aayi bhadon ki tallaiya
Juda gaya baune kii chhal ka reshha-resha
Yeh tum thii
Gorki makhim !
Shramshiil jaagruk jag ke pakshdhar asiim
Dhul chuki hai tumhari aashish
Asia-ii mahol mein
Dahak utha hai tabhi to is trah viyetnaam .
Agraj , tumhari saunvi varshgaath par
Karta hai bhartiya Jankavi tumko pranaam .
Gorki makhim !
Dar-a-sal sarvhara galp ka
Tumhi se hua tha ‘shriganesh’
Nikla tha vo aadi-kavya
Tumhari hi lekhni ki nonk se
Jhujharu shramikon ke abhiyaan ka..
Dekh us budhiya ne pahle- paha
Apne aas-paas , nayi pidhi ke andar
Vishv-kranti , vishv shaanti , vishv kalyan
‘maa’ ki pratima me tumhi ne to bhare they praan.
Gorki makhim !
Vipakshon ke lekhe kulish –kathor , bhiim
Shramshil jagruk jag ke pakhdhar ashiim !
Gorki mahim !
GULABI CHURIYAAN
Private bus ka driver hai to kya hua ,
Saat saal ki bachchi ka pita to hai !
Saamne gear se upar
Huk se latka rakhi hain
kaanch ki chaar churiyan gulabi
bas ki raftar ke mutabik
hilti rahti hain…
jhuk-kar main ne puchh liya
khaa gaya mano jhatka
adhedh umar ka muchchad robila chehra
aahiste se bola : haan saab
laakh kaehta hun nahi maanti muniya
taange hue hai kai dino se apni amanat
yahan abba ki nazro ke saamne
main bhi sochta hun
kya bigaadti hain churiyaan
kis jurm pe hata dun inko yahan se ?
aur driver ne ek nazar mujhe dekha
aur main-ne ek nazar use dekha
jahalak raha tha dudhiya vatsalya badi-badi ankhon me
taralta havi thi sidhe-sade prashn pe
aur ab vo nighahen phir se ho gayin sadak ki ore
aur main-ne jhuk kar kaha- haan bhai ,main bhi pita hun
vo to bas yun hi pooch liya aapse , varna
kise nahi bhayengi ?
nanhi kalayion ki gulabi churiyaan
KAL AUR AAJ
Abhi kal tak
Galiyaan dete they tumhe
Hatash khetihar ,
Abhi kal tak nahate they gauriyon ke jhund
Abhi kal tak pathrayi hui thi
Dhanhar kheton ki mati
Abhi kal tak dubke pade they mendhak,
Udaas badtang tha aasman !
Aur aaj upar hi upar tan gaye hai
Tumhare tambu
Aur aaj
Chahmka rahi hai pawas rani
Bunda – bundiyon ki apni payal,
Aur aaj chalu ho gayi hai,
Jhinguron ki sahnai a-viraam
Aur aaj zor se,
Nachte thirakte mor
Aur aaj vapas aa gayi jaan
Doob ki jhulsi shiraon ke andar
Aur aaj
Vida hua chupchap grism ,
Sametkar apna lav-laskar
KAI DINON TAK CHULHA NAHI JALA
Kai dino tak chulha roya chakki rahi udaas
Kai dino tak kani kutiya soyee uske paa
Kai dino tak lagi bhitpar chipkiliyon ki gast ,
Kai dino tak chulho ki bhi halat rahi shikast
Daane aaye ghar ke andar bahut dino ke baad ,
Dhuan utha aangan se upar bahut dino ke baad ,
Dhamk uthi ghar ki ankhen bahut dino ke baad ,
Kauvey ne khujlai paankhe bahut dino ke baad
SATYA
Satya ko lakva maar gya hai
Vo lambe kaath ki trah
Pada rahta hai sara din , sari raat
Voh fati-fati ankhon se
Tukur-tukur takta rahta hai sara din, sari raat
Koi bhi saamne se aaye-jaaye
Satya ki sooni nigahon me zara bhi fark nahi padta
Pathrayi nazaro se vo yun hi dekhta rahega
Sara-sara din , sari-sari raat
Satya ko lakva maar gaya hai !
Nagarjuna, ‘peoples poet’ popularly Known as ‘Baba’ among the Hindi lovers, died of asthma.Baba breathed his last in the Khwaja Sarai locality of Darbhanga town in Bihar in the small house of his eldest son, Shobha Kant. About a month before his death, his daughter-in-law made a sentimental appeal to all Hindi lovers to come forward and provide financial help to the seriously ill poet. Her appeal fell on deaf years.
Leave Your Comments